This is probably one of the best nostalgic songs I've heard in a long long time and even if the song is romantic and the picturisation has been done on those lines, I feel that the underlying emotions hold true for any situation, be it a friend missing friend, a person missing his family or be just a visit down the memory lane!!!!
Dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura Jaate Hai
Beete Lamhein Hamein Jab Bhi Yaad Aate Hai
Chand Lamhaaat Ke Waaste Hi Sahi
Muskuraakar Mili Thi Mujhe Jindagi
Teri Aaghosh Mein Din The Mere
Teri Baahon Mein Thi Meri Raate Kati
Aaj Bhi Jab Woh Pal Mujhko Yaad Aate Hai
Dil Se Saare Gamon Ko Bhula Jaate Hai
Dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura Jaate Hai
Beete Lamhein Hamein Jab Bhi Yaad Aate Hai
Mere Kaandhe Pe Sir Ko Jhukaana Tera
Mere Sine Mein Khud Ko Chhupaana Tera
Aake Meri Panaahon Mein Shaamo Sehar
Kaanch Ki Tarah Woh Toot Jaana Tera
Aaj Bhi Jab Woh Manjar Nazar Aate Hai
Dil Ki Viraaniyo Ko Mita Jaate Hai
Dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura Jaate Hai
Beete Lamhein Hamein Jab Bhi Yaad Aate Hai
0 comments:
Post a Comment